Koi deewana kehta hai, koi pagal samajhta hai


SUBMITTED BY: deepakctsc

DATE: May 20, 2016, 2:54 p.m.

FORMAT: Text only

SIZE: 1.0 kB

HITS: 2358

  1. Koi deewana kehta hai, koi pagal samajhta hai,
  2. Magar dharti ki bechaini ko bas badal samajhta hai
  3. Main tujhse door kaisa hoon, tu mujhse door kaisi hai
  4. Ye tera dil samajhta hai ya mera dil samajhta hai..
  5. Mohbbat ek ehsaason ki pawan si kahani hai
  6. Kabhi Kabira deewana tha, kabhi meera deewani hai
  7. Yahan sab log kehte hain meri aankhon main aasoon hain
  8. Jo tu samjhe to moti hain, jo na samjhe to paani hain
  9. Bahut bikhra bahut toota thapede seh nahin paaya
  10. Hawaaon ke isharon par magar main beh nahin paaya
  11. Adhoora ansuna hi reh gaya yun pyar ka kissa
  12. Kabhi tum sun nahin paaye, kabhi main keh nahin paaya
  13. Samandar peer ka andar hai lekin ro nahi sakta
  14. Ye ansoon pyar ka moti hai isko kho nahi sakta
  15. Meri chahat ko dulhan tu bana lena magar sunle
  16. Jo mera ho nahi paya wo tera ho nahi sakta
  17. Bhramar koi kumudni par machal baitha to hungama
  18. Hamare dil main koi khwaab pal baitha to hungama
  19. Abhi tak doob ke sunte sab kissa mohhabat ka
  20. Main kisse ko haqeekat main badal baitha to hungama

comments powered by Disqus