Koi deewana kehta hai, koi pagal samajhta hai, Magar dharti ki bechaini ko bas badal samajhta hai Main tujhse door kaisa hoon, tu mujhse door kaisi hai Ye tera dil samajhta hai ya mera dil samajhta hai.. Mohbbat ek ehsaason ki pawan si kahani hai Kabhi Kabira deewana tha, kabhi meera deewani hai Yahan sab log kehte hain meri aankhon main aasoon hain Jo tu samjhe to moti hain, jo na samjhe to paani hain Bahut bikhra bahut toota thapede seh nahin paaya Hawaaon ke isharon par magar main beh nahin paaya Adhoora ansuna hi reh gaya yun pyar ka kissa Kabhi tum sun nahin paaye, kabhi main keh nahin paaya Samandar peer ka andar hai lekin ro nahi sakta Ye ansoon pyar ka moti hai isko kho nahi sakta Meri chahat ko dulhan tu bana lena magar sunle Jo mera ho nahi paya wo tera ho nahi sakta Bhramar koi kumudni par machal baitha to hungama Hamare dil main koi khwaab pal baitha to hungama Abhi tak doob ke sunte sab kissa mohhabat ka Main kisse ko haqeekat main badal baitha to hungama